Kabaad-KHana

ek din apne kamre mein main

baiTha baiTha soch raha tha

jitni hain be-kar ki chizen

sab ko aaj main yakja kar lun

aur kabaDi ko de aaun

ghar mein ek kamra hai jahan par

bahut si chizen paDin hui hain

jis mein

mere kaam ka kuchh bhi nahin hai

ek laThi hai ek baTwa hai

katthe chune ki Dibiya hai

kahin sarauta paDa hua hai

Tangi hai kone mein ek chhatri kali kali

jis ko chuhon ne qatra hai jagah jagah se

ek lakDi ki kursi bhi hai

buDhi si aur langDi-luli

is kamre ke ek kone mein

ek chaupai paDi hui hai

apni qismat ko roti hai

bilkul us ke bazu mein hi

buDha sa ek taKHt rakha hai

kiDe jis ko chaT rahen hain

taKHt ke aage bilkul aage

chite ki ek khaal paDi hai

bhunsa bhar ke rakha hua tha jis ke andar

ab to wo chuhon ka ek mohalla hai

kuchh hirno ke sar bhi hain diwar pe laTke ab tak

jin ke upar ab chiDiyon ne apne apne taj-mahal tamir kiye hai

kuchh talwaren KHun ki pyasi pyas bujhane taDap rahin hain

ek tote ka pinjra bhi hai

ek surahi rakkhi hui hai

ek bimar sa huqqa bhi hai

khansta rahta hai jo ab

shayad cancer ne us ko bhi jakDa hai

ek lakDi ki almari bhi kone mein KHamosh khaDi hai

jis mein kuchh bosida kapDe rakkhe hue hain

ek sanduq hai jis ke andar kuchh zewar hain

jinki qimat ab bazar mein kuchh bhi nahin

kuchh german aur kanse pital ke bartan bhi rakkhe hain

ek tijori bhi rakkhi hai

jis ko dekh ke ab tak sari chizen jalti hain

ek na-bina chashma bhi hai

ek pagDi bhi rakkhi hui hai

kuchh jute chappal bhi hain jo

aundhe chitte leTe hain

TuTe-phuTe se ek do hath ke pankhe bhi hain

aur ek taq mein chand kitaben

bhuki pyasi chikh rahin hain

ek kone mein kuchh taswiren paDi hui hain

mere purkhon ki taswiren

jin ke upar dhul jami hai

purkhon ki ye shan-o-shaukat

ek kamre mein band paDi hai

(557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabaad-KHana In English By Famous Poet Mohsin Aftab Kelapuri. Kabaad-KHana is written by Mohsin Aftab Kelapuri. Read famous Poem Kabaad-KHana for youth and Student by Mohsin Aftab Kelapuri. Free Download Kabaad-KHana in PDF.