KHwab Ko Surat-e-haalat Bana Jata Hai

KHwab ko surat-e-haalat bana jata hai

dil ko aana ho to be-waqt bhi aa jata hai

ho ke naraaz na jae koi mehman warna

ghar se wasf-e-dar-o-diwar chala jata hai

aankh se aankh milana to suKHan mat karna

Tok dene se kahani ka maza jata hai

Thik kahte ho ki aaseb-zada hota hai ishq

mere andar bhi koi shor macha jata hai

pyar aa jae to phir pyar hi kije warna

jis tarah aata hai us tarah chala jata hai

main to har faisla hi karta hun apne haq mein

par koi adl ki zanjir hila jata hai

umr-e-rafta mein tujhe yaad kahan karta hun

bas zara yun hi tera dhyan sa aa jata hai

koi pagal mujhe kahta hai to kya hai 'mohsin'

ek pagal ko to pagal hi kaha jata hai

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ko Surat-e-haalat Bana Jata Hai In English By Famous Poet Mohsin Asrar. KHwab Ko Surat-e-haalat Bana Jata Hai is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem KHwab Ko Surat-e-haalat Bana Jata Hai for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download KHwab Ko Surat-e-haalat Bana Jata Hai in PDF.