KHud Hi Taslim Bhi Karta Hun KHataen Apni
KHud hi taslim bhi karta hun KHataen apni
aur tajwiz bhi karta hun sazaen apni
koi dekhe to ada-kariyan karna us ka
band aaine mein karti hai adaen apni
main suKHan-war hun so KHamosh nahin rah sakta
main ne aankhon mein basai hain sadaen apni
kya zamana tha ki hum KHub jacha karte the
ab to mange ki si lagti hain qabaen apni
mal hai pas na hum charb-zaban hain 'mohsin'
shahr mein kis tarah phir sakh banaen apni
(657) Peoples Rate This