Sailabon Ke Baad Hum Aise Diwane Ho Jate Hain

sailabon ke baad hum aise diwane ho jate hain

apne ghar se us ke ghar tak pahron dauD lagate hain

hum ne apne hath zamin mein dab rakhe hain is Dar se

dast-e-talab phailane wale diwane kahlate hain

un aankhon ki sewa kar ke hum ne jadu sikh liya

jab bhi tabiat ghabraati hai patthar ke ho jate hain

apne hijr ki baat alag hai apna ishq musalsal hai

KHud se bichhaDne lagte hain to us ke ghar ho aate hain

aadhi raat ko hasti ka mafhum samajh mein aata hai

baam-o-dar ke sannaTe jab aapas mein Takraate hain

jaane kitni gard jami ho KHadd-o-KHal pe raston ki

is Dar se hum apne ghar mein dastak de kar jate hain

ab us par ilzam rakhe ye KHalq-e-KHuda to kya kahiye

hum to us ki baaten kar ke apna dil bahlate hain

jis din us ki yaad aati hai jit si apni hoti hai

rasta rasta kucha kucha parcham se lahraate hain

pahle purwai se dil mein ek kasak si uThti thi

ab ye mausam kuchh nahin karte lekin KHwab dikhate hain

main ne apne josh mein aa kar raqs kiya tha KHud 'mohsin'

lekin meri basti wale us ka nam batate hain

(507) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sailabon Ke Baad Hum Aise Diwane Ho Jate Hain In English By Famous Poet Mohsin Asrar. Sailabon Ke Baad Hum Aise Diwane Ho Jate Hain is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem Sailabon Ke Baad Hum Aise Diwane Ho Jate Hain for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download Sailabon Ke Baad Hum Aise Diwane Ho Jate Hain in PDF.