Sar UThaya Ishq Ne To ChoT Ek Bhaari PaDi

sar uThaya ishq ne to choT ek bhaari paDi

ja ke is ke paon 'mohsin' apni KHuddari paDi

ab jo dekha donon hi na-qabil-e-tafsir the

raat ke jage huon par raushni bhaari paDi

chahne walon ko hi hona paDa hai sangsar

zinda rahne walon par hi zindagi bhaari paDi

mere dukh ko ek hi pahlu ki lazzat thi aziz

ab jo karwaT li to mujh pe aa ke bedari paDi

wo samundar wo hawaen wo tazabzub aur wo aankh

jaan se jaane gae the aur gale yari paDi

aashna hone se pahle ajnabi-pan kha gaya

ghar se pahle raste mein ghar ki rahdari paDi

in dinon shayad main apni dastaras se dur hun

aaj to us ki nazar dil par mere kari paDi

(521) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar UThaya Ishq Ne To ChoT Ek Bhaari PaDi In English By Famous Poet Mohsin Asrar. Sar UThaya Ishq Ne To ChoT Ek Bhaari PaDi is written by Mohsin Asrar. Read famous Poem Sar UThaya Ishq Ne To ChoT Ek Bhaari PaDi for youth and Student by Mohsin Asrar. Free Download Sar UThaya Ishq Ne To ChoT Ek Bhaari PaDi in PDF.