Ehtimam-e-rasan-o-dar Se Kiya Hota Hai

ehtimam-e-rasan-o-dar se kiya hota hai

jis qadar zulm baDhe azm siwa hota hai

saut o aahang hi pairaya-e-izhaar nahin

be-nawai mein bhi andaz-e-nawa hota hai

gham-zado daera-e-gham se nikal kar dekho

dard se dard ka ehsas baDa hota hai

itne badle gae aadab ki ab mahfil mein

dil ki dhaDkan pe bhi ehsas-e-saza hota hai

rawish-e-waqt se mayus na hon ahl-e-nazar

saneha qismat-e-arbab-e-wafa hota hai

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ehtimam-e-rasan-o-dar Se Kiya Hota Hai In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Ehtimam-e-rasan-o-dar Se Kiya Hota Hai is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Ehtimam-e-rasan-o-dar Se Kiya Hota Hai for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Ehtimam-e-rasan-o-dar Se Kiya Hota Hai in PDF.