Lafz To Hon Lab-e-guftar Na Rahne Pae

lafz to hon lab-e-izhaar na rahne pae

ab samaat pe koi bar na rahne pae

kis tarah ke hain makin jin ki tag-o-dau hai yahi

dar to baqi rahen diwar na rahne pae

is mein bhi pahlu-e-taskin nikal aata hai

ek hi surat-e-azar na rahne pae

zehn-ta-zehn mahakta hi rahe zaKHm-e-hunar

fasl-e-harf o lab-e-izhaar na rahne pae

ab ke mausam mein ye meyar-e-junun Thahra hai

sar salamat rahen dastar na rahne pae

koi darman ki hawa chiKH rahi hai 'mohsin'

naKHl-e-hasti pe koi bar na rahne pae

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz To Hon Lab-e-guftar Na Rahne Pae In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Lafz To Hon Lab-e-guftar Na Rahne Pae is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Lafz To Hon Lab-e-guftar Na Rahne Pae for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Lafz To Hon Lab-e-guftar Na Rahne Pae in PDF.