Kya Zaruri Hai Ab Ye Batana Mera

kya zaruri hai ab ye batana mera

TuTti shaKH par tha Thikana mera

gham nahin ab mili hain jo tanhaiyan

anjuman anjuman tha fasana mera

jo bhi aaya hadaf par wo kab bach saka

cukta hi nahin tha nishana mera

ek zamana kabhi tha mera ham-nawa

tum ne dekha kahan wo zamana mera

arz-e-bhopal se tha talluq kabhi

ab to sab kuchh hai ye laDkana mera

na-tawani pe meri jo hain KHanda-zan

in ko album purana dikhana mera

mere jaane se behtar hai 'mohsin' kabhi

bazm-e-sher-o-suKHan mein na jaana mera

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Zaruri Hai Ab Ye Batana Mera In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Kya Zaruri Hai Ab Ye Batana Mera is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Kya Zaruri Hai Ab Ye Batana Mera for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Kya Zaruri Hai Ab Ye Batana Mera in PDF.