Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhen

nazar mila ke zara dekh mat jhuka aankhen

baDha rahi hain nigahon ka hausla aankhen

jo dil mein aks hai aankhon se bhi wo chhalkega

dil aaina hai magar dil ka aaina aankhen

wo ek sitara tha jaane kahan gira hoga

KHala mein DhunD rahi hain na jaane kya aankhen

gham-e-hayat ne fursat na di Thaharne ki

pukarti hi rahi hain mujhe sada aankhen

ye us ka tarz-e-taKHatub bhi KHub hai 'mohsin'

ruka ruka sa tabassum KHafa KHafa aankhen

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhen In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhen is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhen for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Nazar Mila Ke Zara Dekh Mat Jhuka Aankhen in PDF.