Raat Bhar Jine Se Kya Sham-e-shabistan Ki Tarah

raat bhar jine se kya sham-e-shabistan ki tarah

ek lamha hai bahut shoala-e-raqsan ki tarah

dil ke zaKHmon pe bhi phulon ka guman hota hai

yaad aai hai teri mauj-e-bahaaran ki tarah

kyun ho KHamosh rafiqan-e-chaman kuchh to kaho

subh-e-gulshan bhi na guzre shab-e-zindan ki tarah

lazzat-e-dard ko arbab-e-hawas kya jaanen

lazzat-e-dard ki arzan nahin darman ki tarah

yurish-e-dard ne pindar-e-wafa toD diya

hum bhi nadim hain bahut husn-e-pasheman ki tarah

yaad rakhega sulagta hua mahaul hamein

KHarzaron mein rahe hum gul-e-KHandan ki tarah

tab-e-KHuddar pe ek turfa sitam hai 'mohsin'

un ka andaz-e-karam ghair ke ehsan ki tarah

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Bhar Jine Se Kya Sham-e-shabistan Ki Tarah In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Raat Bhar Jine Se Kya Sham-e-shabistan Ki Tarah is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Raat Bhar Jine Se Kya Sham-e-shabistan Ki Tarah for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Raat Bhar Jine Se Kya Sham-e-shabistan Ki Tarah in PDF.