Zawiya Koi Muqarrar Nahin Hone Pata

zawiya koi muqarrar nahin hone pata

daimi ek bhi manzar nahin hone pata

umr-e-masruf koi lamha-e-fursat ho ata

main kabhi KHud ko mayassar nahin hone pata

aae din aatish o aahan se guzarta hai magar

dil wo kafir hai ki patthar nahin hone pata

kya use jabr-e-mashiyat ki inayat samjhun

jo amal mera muqaddar nahin hone pata

chashm-e-pur-ab samo leti hai aalam ki gard

aaina dil ka mukaddar nahin hone pata

chadar-e-ijz ghaTa deti hai qamat mera

main kabhi apne barabar nahin hone pata

fan ke kuchh aur bhi hote hain taqaze 'mohsin'

har suKHan-go to suKHan-war nahin hone pata

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zawiya Koi Muqarrar Nahin Hone Pata In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Zawiya Koi Muqarrar Nahin Hone Pata is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Zawiya Koi Muqarrar Nahin Hone Pata for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Zawiya Koi Muqarrar Nahin Hone Pata in PDF.