Agar Yahi Hai Shaeri To Shaeri Haram Hai!

agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai!

KHirad bhi zer-e-dam hai junun bhi zer-e-dam hai

hawas ka nam ishq hai talab KHudi ka nam hai

nazar udas dil malul ruh tishna-kaam hai

magar labon pe naghma-e-hayat shad-kaam hai

rahin-e-ariz-e-hasin asir-e-zulf-e-mushkbu!

nigah mein liye hue ghuTi ghuTi si justuju

bhaTak rahe hain wadi-e-KHizan mein bahr-e-rang-o-bu

sahar ke git ga rahe hain aur waqt-e-sham hai

nazar mein mah-o-kahkashan hain azmat-e-bashar nahin

qadam baDha rahe hain aur rah mo'tabar nahin

fareb-KHurda-e-chaman hain dam par nazar nahin

KHayal-e-nazm-e-mai-kada nahin hai fikr-e-jam hai

mila wo iKHtiyar jis pe bebasi hai KHanda-zan

wo raushni mili ki jis pe tirgi hai KHanda-zan

wo zindagi mili ki jis pe maut bhi hai KHanda-zan

ba-zid hain phir bhi kaj-nazar hayat shad-kaam hai

numaish-o-numud-o-nang-o-nam par nigah hai!

jamal-e-yar-o-juebar-o-jam par nigah hai

ba-nam-e-bandagi butan-e-baam par nigah hai

shabab-o-sher-o-shahid-o-sharab se hi kaam hai

agar yahi hai shaeri to shaeri haram hai

(1003) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Yahi Hai Shaeri To Shaeri Haram Hai! In English By Famous Poet Mohsin Bhopali. Agar Yahi Hai Shaeri To Shaeri Haram Hai! is written by Mohsin Bhopali. Read famous Poem Agar Yahi Hai Shaeri To Shaeri Haram Hai! for youth and Student by Mohsin Bhopali. Free Download Agar Yahi Hai Shaeri To Shaeri Haram Hai! in PDF.