Main Ek Umr Ke Baad Aaj KHud Ko Samjha Hun

main ek umr ke baad aaj KHud ko samjha hun

agar rukun to kinara chalun to dariya hun

jo lab-kusha hun to hangama-e-bahaar hun main

agar KHamosh rahun to sukut-e-sahra hun

tujhe KHabar bhi hai kuchh ai masarraton ke naqib

main kab se saya-e-diwar-e-gham mein baiTha hun

jhulas gai hai hawa-e-dayar-e-dard mujhe

bas ek pal ke liye shahr-e-gham mein Thahra hun

meri KHudi mein nihan hai mere KHuda ka wajud

KHuda ko bhul gaya jab se KHud ko samjha hun

main apne panw ka kanTa main apne gham ka asir

misal-e-sang-e-garan raste mein baiTha hun

bulandiyon se meri samt dekhne wale

mere qarib to aa main bhi ek duniya hun

agar hai maqtal jaanan ka ruKH to ai 'mohsin'

zara Thahar ki tere sath main bhi chalta hun

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ek Umr Ke Baad Aaj KHud Ko Samjha Hun In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Main Ek Umr Ke Baad Aaj KHud Ko Samjha Hun is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Main Ek Umr Ke Baad Aaj KHud Ko Samjha Hun for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Main Ek Umr Ke Baad Aaj KHud Ko Samjha Hun in PDF.