Nigar-e-fan Pe Harifan-e-sher Ki Yalghaar

nigar-e-fan pe harifan-e-sher ki yalghaar

niyam-e-harf kahan hai KHayal ki talwar

rahin-e-marg-e-tamanna thi kaamrani-e-wasl

jhulas gaya hai mujhe qurb-e-shoala-e-ruKHsar

hawa kuchh aisi chali dasht-e-na-muradi se

ujaD ke bas na sake phir kabhi dilon ke dayar

kaDakti dhup mein ab aur kis jagah baiThun

simaT ke ban gaya diwar saya-e-diwar

jala gai hai meri aag pairahan mera

main kya gila karun tujh se charagh-e-mahfil-e-yar

zara rasai-e-manzil-gah-e-murad to dekh

chale the shahr-e-wafa se pahunch gae sar-e-dar

ye kis ne sard gulistan ka zikr chheDa hai

nikhar chala hai nigahon mein paikar-e-qad-e-yar

ye kis jazira-e-be-rang-o-bu mein baste hain

na tairan-e-ajam hain na aahuwan-e-tatar

ye kaun guzra hai 'mohsin' KHaraba-e-dil se

ki uD raha hai har ek samt hasraton ka ghubar

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigar-e-fan Pe Harifan-e-sher Ki Yalghaar In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Nigar-e-fan Pe Harifan-e-sher Ki Yalghaar is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Nigar-e-fan Pe Harifan-e-sher Ki Yalghaar for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Nigar-e-fan Pe Harifan-e-sher Ki Yalghaar in PDF.