Rakh Kuchh Dil Mein Ziyaada Hai Sharara Kam Hai

rakh kuchh dil mein ziyaada hai sharara kam hai

hum ne is aaine mein aks utara kam hai

raushni aaj ajab tirgi-e-KHak mein hai

aasman dekh tera ek sitara kam hai

DhunDhta phirta hun KHar-o-KHas-o-KHashak mein husn

meri binai ko saughat-e-nazara kam hai

marg-e-yaran-e-suKHan-sanj pe KHun rota hun

kya karun sabr ki ab sabr ka yara kam hai

tum ko andaza-e-sailab nahin hai 'mohsin'

baadalon ne jo kiya kya wo ishaara kam hai

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakh Kuchh Dil Mein Ziyaada Hai Sharara Kam Hai In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Rakh Kuchh Dil Mein Ziyaada Hai Sharara Kam Hai is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Rakh Kuchh Dil Mein Ziyaada Hai Sharara Kam Hai for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Rakh Kuchh Dil Mein Ziyaada Hai Sharara Kam Hai in PDF.