Raushniyan Badan Badan Tere Mere Lahu Se Hain

raushniyan badan badan tere mere lahu se hain

lams ki sari lazzaten jism ki haw-hu se hain

qurbat-e-roz-roz mein ranjishen itni baDh gain

wo bhi gurez-pa se hain hum bhi bahana-ju se hain

Dar hai ki sham-e-hijr mein dil ka diya bujha na den

ab ke hawa ki sazishen shola-e-arzu se hain

jitne KHizan ke Dhang hain jitne faza mein rang hain

mere hi KHar-o-KHas se hain mere hi rang-o-bu se hain

meri mata-e-zindagi KHwahish-e-zaKHm hi to hai

mere junun ke silsile lazzat-e-justuju se hain

KHush hain ki lauT aae hain sare musafiran-e-gham

garche ye surKH-ru nahin phir bhi ye surKH-ru se hain

jis ke kamal-e-tanz se shahr sarapa zaKHm hai

us ko sabhi shikayaten mohsin-e-qand-KHu se hain

(597) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushniyan Badan Badan Tere Mere Lahu Se Hain In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Raushniyan Badan Badan Tere Mere Lahu Se Hain is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Raushniyan Badan Badan Tere Mere Lahu Se Hain for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Raushniyan Badan Badan Tere Mere Lahu Se Hain in PDF.