Sae Ki Ummid Thi Tarikiyan Phaila Gaya

sae ki ummid thi tarikiyan phaila gaya

jo shajar phuTa zamin se bij hi ko kha gaya

kya gila tujh se ki gulshan ka muqaddar hai yahi

abr ghir kar jab bhi aaya aag hi barsa gaya

ab kinaron se na mange qatre qatre ka hisab

kyun samundar ki taraf bahta hua dariya gaya

meri sairabi bhi meri tishnagi se kam na thi

main misal-e-abr aaya surat-e-sahra gaya

husn ke hamrah chalta tha julusi-e-tishnagan

ishq tanha dahr mein aaya tha aur tanha gaya

'mohsin'-ehsan kisi baadal ka TukDa hai ki jo

ek lamhe ke liye aaya ghira barsa gaya

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sae Ki Ummid Thi Tarikiyan Phaila Gaya In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Sae Ki Ummid Thi Tarikiyan Phaila Gaya is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Sae Ki Ummid Thi Tarikiyan Phaila Gaya for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Sae Ki Ummid Thi Tarikiyan Phaila Gaya in PDF.