Safar Mein Yaad Na Aae Koi Thikana Hamein

safar mein yaad na aae koi Thikana hamein

gham-e-zamana laga aisa taziyana hamein

amir-e-shahr ne kaghaz ki kashtiyan de kar

samundaron ke safar par kiya rawana hamein

jahan se sath zamane ko le ke chalna tha

wahin pe chhoD gai gardish-e-zamana hamein

har ek samt khaDi hain buland diwaren

tamam shahr nazar aae qaid-KHana hamein

muluk-e-ham-nafasan dekh kar ye dhyan aaya

ki kash phir mile dushman wahi purana hamein

hawa-e-subh-e-dil-azar itni tez na chal

charagh-e-sham-e-ghariban hain hum bujha na hamein

nigah paDti hai phir kyun parai shamon par

agar aziz hai 'mohsin' charagh-e-KHana hamein

(1565) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Mein Yaad Na Aae Koi Thikana Hamein In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Safar Mein Yaad Na Aae Koi Thikana Hamein is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Safar Mein Yaad Na Aae Koi Thikana Hamein for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Safar Mein Yaad Na Aae Koi Thikana Hamein in PDF.