Shahr Ka Shahr LuTera Hai Nazar Mein Rakhiye

shahr ka shahr luTera hai nazar mein rakhiye

ab mata-e-gham-e-jaanan bhi na ghar mein rakhiye

kya KHabar kaun se raste mein wo rahzan mil jae

apna saya bhi na ab sath safar mein rakhiye

ab kahin se na KHaridar-e-wafa aaega

ab koi jins na bazar-e-hunar mein rakhiye

sar-e-diwar wo KHurshid-ba-kaf aaya hai

ab charagh-e-dil-o-jaan rahguzar mein rakhiye

shoala-e-dard liye dil-zadagan nikle hain

ab koi aag nai barq-o-sharar mein rakhiye

chashma-e-chashm pe 'mohsin' wo nahane aaya

ab sada us ko isi dida-e-tar mein rakhiye

(1311) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ka Shahr LuTera Hai Nazar Mein Rakhiye In English By Famous Poet Mohsin Ehsan. Shahr Ka Shahr LuTera Hai Nazar Mein Rakhiye is written by Mohsin Ehsan. Read famous Poem Shahr Ka Shahr LuTera Hai Nazar Mein Rakhiye for youth and Student by Mohsin Ehsan. Free Download Shahr Ka Shahr LuTera Hai Nazar Mein Rakhiye in PDF.