Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka ZaKHm

aap ki aankh se gahra hai meri ruh ka zaKHm

aap kya soch sakenge meri tanhai ko

main to dam toD raha tha magar afsurda hayat

KHud chali aai meri hausla-afzai ko

lazzat-e-gham ke siwa teri nigahon ke baghair

kaun samjha hai mere zaKHm ki gahrai ko

main baDhaunga teri shohrat-e-KHush-bu ka nikhaar

tu dua de mere afsana-e-ruswai ko

wo to yun kahiye ki ek qaus-e-quzah phail gai

warna main bhul gaya tha teri angDai ko

(2907) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka ZaKHm In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka ZaKHm is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka ZaKHm for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Aap Ki Aankh Se Gahra Hai Meri Ruh Ka ZaKHm in PDF.