Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-e-ziyan Hona Hi Tha

ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha

apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha

kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna

barg-e-gul ko KHak shoale ko dhuan hona hi tha

jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar

ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha

mujh ko rukna tha use jaana tha agle moD tak

faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha

chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath

moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha

main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada

meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha

shahr se bahar ki virani basana thi mujhe

apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha

apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-KHak mein

ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha

be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere

main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha

(2369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-e-ziyan Hona Hi Tha In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-e-ziyan Hona Hi Tha is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-e-ziyan Hona Hi Tha for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Ab Ke Barish Mein To Ye Kar-e-ziyan Hona Hi Tha in PDF.