Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein PaD Jate Hain

ab ye sochun to bhanwar zehn mein paD jate hain

kaise chehre hain jo milte hi bichhaD jate hain

kyun tere dard ko den tohmat-e-virani-e-dil

zalzalon mein to bhare shahr ujaD jate hain

mausam-e-zard mein ek dil ko bachaun kaise

aisi rut mein to ghane peD bhi jhaD jate hain

ab koi kya mere qadmon ke nishan DhunDega

tez aandhi mein to KHeme bhi ukhaD jate hain

shaghl-e-arbab-e-hunar puchhte kya ho ki ye log

pattharon mein bhi kabhi aaine jaD jati hain

soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath

chand chehron ke KHad-o-KHal bigaD jate hain

shiddat-e-gham mein bhi zinda hun to hairat kaisi

kuchh diye tund hawaon se bhi laD jate hain

wo bhi kya log hain 'mohsin' jo wafa ki KHatir

KHud-tarashida usulon pe bhi aD jate hain

(2121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein PaD Jate Hain In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein PaD Jate Hain is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein PaD Jate Hain for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Ab Ye Sochun To Bhanwar Zehn Mein PaD Jate Hain in PDF.