Agarche Main Ek ChaTan Sa Aadmi Raha Hun

agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun

magar tere baad hausla hai ki ji raha hun

wo reza reza mere badan mein utar raha hai

main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun

teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera

mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun

khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar

koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun

kahan milegi misal meri sitamgari ki

ki main gulabon ke zaKHm kanTon se si raha hun

na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha

ki main to KHud apne ghar mein bhi do ghaDi raha hun

mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha

wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun

bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin

ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun

wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin'

ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun

(2199) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Main Ek ChaTan Sa Aadmi Raha Hun In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Agarche Main Ek ChaTan Sa Aadmi Raha Hun is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Agarche Main Ek ChaTan Sa Aadmi Raha Hun for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Agarche Main Ek ChaTan Sa Aadmi Raha Hun in PDF.