Ashk Apna Ki Tumhaara Nahin Dekha Jata

ashk apna ki tumhaara nahin dekha jata

abr ki zad mein sitara nahin dekha jata

apni shah-e-rag ka lahu tan mein rawan hai jab tak

zer-e-KHanjar koi pyara nahin dekha jata

mauj-dar-mauj ulajhne ki hawas be-mani

Dubta ho to sahaara nahin dekha jata

tere chehre ki kashish thi ki palaT kar dekha

warna suraj to dobara nahin dekha jata

aag ki zid pe na ja phir se bhaDak sakti hai

rakh ki tah mein sharara nahin dekha jata

zaKHm aankhon ke bhi sahte the kabhi dil wale

ab to abru ka ishaara nahin dekha jata

kya qayamat hai ki dil jis ka nagar hai 'mohsin'

dil pe us ka bhi ijara nahin dekha jata

(4310) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Apna Ki Tumhaara Nahin Dekha Jata In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Ashk Apna Ki Tumhaara Nahin Dekha Jata is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Ashk Apna Ki Tumhaara Nahin Dekha Jata for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Ashk Apna Ki Tumhaara Nahin Dekha Jata in PDF.