Hum Jo Pahunche Sar-e-maqtal To Ye Manzar Dekha

hum jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha

sab se uncha tha jo sar nok-e-sinan par dekha

hum se mat puchh ki kab chand ubharta hai yahan

hum ne suraj bhi tere shahr mein aa kar dekha

aise lipTe hain dar-o-baam se ab ke jaise

hadson ne baDi muddat mein mera ghar dekha

ab ye socha hai ki auron ka kaha manenge

apni aankhon pe bharosa to bahut kar dekha

ek ek pal mein utarta raha sadiyon ka azab

hijr ki raat guzari hai ki mahshar dekha

mujh se mat puchh meri tishna-labi ke tewar

ret chamki to ye samjho ki samundar dekha

dukh hi aisa tha ki 'mohsin' hua gum-sum warna

gham chhupa kar use hanste hue aksar dekha

(2758) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Jo Pahunche Sar-e-maqtal To Ye Manzar Dekha In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Hum Jo Pahunche Sar-e-maqtal To Ye Manzar Dekha is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Hum Jo Pahunche Sar-e-maqtal To Ye Manzar Dekha for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Hum Jo Pahunche Sar-e-maqtal To Ye Manzar Dekha in PDF.