Hawa-e-hijr Mein Jo Kuchh Tha Ab Ke KHak Hua

hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke KHak hua

ki pairahan to gaya tha badan bhi chaak hua

ab us se tark-e-talluq karun to mar jaun

badan se ruh ka is darja ishtirak hua

yahi ki sab ki kamanen hamin pe TuTi hain

chalo hisab-e-saf-e-dostan to pak hua

wo be-sabab yunhi ruTha hai lamha-bhar ke liye

ye saneha na sahi phir bhi karb-nak hua

usi ke qurb ne taqsim kar diya aaKHir

wo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimak hua

shadid war na dushman diler tha 'mohsin'

main apni be-KHabari se magar halak hua

(2435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa-e-hijr Mein Jo Kuchh Tha Ab Ke KHak Hua In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Hawa-e-hijr Mein Jo Kuchh Tha Ab Ke KHak Hua is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Hawa-e-hijr Mein Jo Kuchh Tha Ab Ke KHak Hua for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Hawa-e-hijr Mein Jo Kuchh Tha Ab Ke KHak Hua in PDF.