Har Ek Shab Yunhi Dekhengi Su-e-dar Aankhen

har ek shab yunhi dekhengi su-e-dar aankhen

tujhe ganwa ke na soengi umr-bhar aankhen

tulu-e-subh se pahle hi bujh na jaen kahin

ye dasht-e-shab mein sitaron ki ham-safar aankhen

sitam ye kam to nahin dil giraftagi ke liye

main shahr bhar mein akela idhar-udhar aankhen

shumar us ki saKHawat ka kya karen ki wo shaKHs

charagh banTta phirta hai chhin kar aankhen

main zaKHm zaKHm hua jab to mujh pe bhed khula

ki pattharon ko samajhti rahin guhar aankhen

main apne ashk sanbhaalunga kab talak 'mohsin'

zamana sang-ba-kaf hai to shishagar aankhen

(2174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Shab Yunhi Dekhengi Su-e-dar Aankhen In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Har Ek Shab Yunhi Dekhengi Su-e-dar Aankhen is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Har Ek Shab Yunhi Dekhengi Su-e-dar Aankhen for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Har Ek Shab Yunhi Dekhengi Su-e-dar Aankhen in PDF.