Jab Se Usne Shahr Ko ChhoDa Har Rasta Sunsan Hua

jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua

apna kya hai sare shahr ka ek jaisa nuqsan hua

ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun wahmon ka

soch raha hun is nagri mein tu kab se mehman hua

sahra ki munh-zor hawaen auron se mansub huin

muft mein hum aawara Thahre muft mein ghar viran hua

mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein

patthar bhi ro paDte hain insan to phir insan hua

itni der mein ujDe dil par kitne mahshar bit gae

jitni der mein tujh ko pa kar khone ka imkan hua

kal tak jis ke gird tha raqsan ek amboh sitaron ka

aaj usi ko tanha pa kar main to bahut hairan hua

us ke zaKHm chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazron se

us se kaisa shikwa kije wo to abhi nadan hua

jin ashkon ki phiki lau ko hum bekar samajhte the

un ashkon se kitna raushan ek tarik makan hua

yun bhi kam-amez tha 'mohsin' wo is shahr ke logon mein

lekin mere samne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua

(2193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Usne Shahr Ko ChhoDa Har Rasta Sunsan Hua In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Jab Se Usne Shahr Ko ChhoDa Har Rasta Sunsan Hua is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Jab Se Usne Shahr Ko ChhoDa Har Rasta Sunsan Hua for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Jab Se Usne Shahr Ko ChhoDa Har Rasta Sunsan Hua in PDF.