Jab Hijr Ke Shahr Mein Dhup Utri Main Jag PaDa To KHwab Hua

jab hijr ke shahr mein dhup utri main jag paDa to KHwab hua

meri soch KHizan ki shaKH bani tera chehra aur gulab hua

barfili rut ki tez hawa kyun jhil mein kankar phenk gai

ek aankh ki nind haram hui ek chand ka aks KHarab hua

tere hijr mein zehn pighalta tha tere qurb mein aankhen jalti hain

tujhe khona ek qayamat tha tera milna aur azab hua

bhare shahr mein ek hi chehra tha jise aaj bhi galiyan DhunDti hain

kisi subh usi ki dhup khili kisi raat wahi mahtab hua

baDi umr ke baad in aankhon mein koi abr utra teri yaadon ka

mere dil ki zamin aabaad hui mere gham ka nagar shadab hua

kabhi wasl mein 'mohsin' dil TuTa kabhi hijr ki rut ne laj rakhi

kisi jism mein aankhen kho baiThe koi chehra khuli kitab hua

(2676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Hijr Ke Shahr Mein Dhup Utri Main Jag PaDa To KHwab Hua In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Jab Hijr Ke Shahr Mein Dhup Utri Main Jag PaDa To KHwab Hua is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Jab Hijr Ke Shahr Mein Dhup Utri Main Jag PaDa To KHwab Hua for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Jab Hijr Ke Shahr Mein Dhup Utri Main Jag PaDa To KHwab Hua in PDF.