KHumar-e-mausam-e-KHushbu Had-e-chaman Mein Khula

KHumar-e-mausam-e-KHushbu had-e-chaman mein khula

meri ghazal ka KHazana tere badan mein khula

tum us ka husn kabhi us ki bazm mein dekho

ki mahtab sada shab ke pairahan mein khula

ajab nasha tha magar us ki baKHshish-e-lab mein

ki yun to hum se bhi kya kya na wo suKHan mein khula

na puchh pahli mulaqat mein mizaj us ka

wo rang rang mein simTa kiran kiran mein khula

badan ki chap nigah ki zaban bhi hoti hai

ye bhed hum pe magar us ki anjuman mein khula

ki jaise abr hawa ki girah se khul jae

safar ki sham mera mehrban thakan mein khula

kahun main kis se nishani thi kis masiha ki

wo ek zaKHm ki 'mohsin' mere kafan mein khula

(2141) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHumar-e-mausam-e-KHushbu Had-e-chaman Mein Khula In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. KHumar-e-mausam-e-KHushbu Had-e-chaman Mein Khula is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem KHumar-e-mausam-e-KHushbu Had-e-chaman Mein Khula for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download KHumar-e-mausam-e-KHushbu Had-e-chaman Mein Khula in PDF.