Kis Ne Sang-e-KHamoshi Phenka Bhare-bazar Par

kis ne sang-e-KHamoshi phenka bhare-bazar par

ek sukut-e-marg tari hai dar-o-diwar par

tu ne apni zulf ke sae mein afsane kahe

mujh ko zanjiren mili hain jurat-e-izhaar par

shaKH-e-uriyan par khila ek phul is andaz se

jis tarah taza lahu chamke nai talwar par

sang-dil ahbab ke daman mein ruswai ke phul

main ne dekha hai naya manzar faraaz-e-dar par

ab koi tohmat bhi wajh-e-karb-e-ruswai nahin

zindagi ek umr se chup hai tere israr par

main sar-e-maqtal hadis-e-zindagi kahta raha

ungliyan uThti rahin 'mohsin' mere kirdar par

(2113) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ne Sang-e-KHamoshi Phenka Bhare-bazar Par In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Kis Ne Sang-e-KHamoshi Phenka Bhare-bazar Par is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Kis Ne Sang-e-KHamoshi Phenka Bhare-bazar Par for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Kis Ne Sang-e-KHamoshi Phenka Bhare-bazar Par in PDF.