Qatl Chhupte The Kabhi Sang Ki Diwar Ke Beach

qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke beach

ab to khulne lage maqtal bhare bazar ke beach

apni poshak ke chhin jaane pe afsos na kar

sar salamat nahin rahte yahan dastar ke beach

surKHiyan amn ki talqin mein masruf rahin

harf barud ugalte rahe aKHbar ke beach

kash is KHwab ki tabir ki mohlat na mile

shoale ugte nazar aae mujhe gulzar ke beach

Dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha

sar-kashida mera saya saf-e-ashjar ke beach

rizq malbus makan sans maraz qarz dawa

munqasim ho gaya insan inhi afkar ke beach

dekhe jate na the aansu mere jis se 'mohsin'

aaj hanste hue dekha use aghyar ke beach

(2389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatl Chhupte The Kabhi Sang Ki Diwar Ke Beach In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Qatl Chhupte The Kabhi Sang Ki Diwar Ke Beach is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Qatl Chhupte The Kabhi Sang Ki Diwar Ke Beach for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Qatl Chhupte The Kabhi Sang Ki Diwar Ke Beach in PDF.