Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai

tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai

misal-e-rang wo jhonka nazar bhi aata hai

tamam shab jahan jalta hai ek udas diya

hawa ki rah mein ek aisa ghar bhi aata hai

wo mujh ko TuT ke chahega chhoD jaega

mujhe KHabar thi use ye hunar bhi aata hai

ujaD ban mein utarta hai ek jugnu bhi

hawa ke sath koi ham-safar bhi aata hai

wafa ki kaun si manzil pe us ne chhoDa tha

ki wo to yaad hamein bhul kar bhi aata hai

jahan lahu ke samundar ki had Thaharti hai

wahin jazira-e-lal-o-guhar bhi aata hai

chale jo zikr farishton ki parsai ka

to zer-e-bahs maqam-e-bashar bhi aata hai

abhi sinan ko sambhaale rahen adu mere

ki un safon mein kahin mera sar bhi aata hai

kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi

shua-e-subh ki surat utar bhi aata hai

isi liye main kisi shab na so saka 'mohsin'

wo mahtab kabhi baam par bhi aata hai

(3041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Tere Badan Se Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai in PDF.