Sare Lahje Tere Be-zaman Ek Main

sare lahje tere be-zaman ek main

is bhare shahar mein raegan ek main

wasl ke shahar ki raushni ek tu

hijr ke dasht mein karwan ek main

bijliyon se bhari barishen zor par

apni basti mein kachcha makan ek main

hasraton se aTe aasman ke tale

jalti-bujhti hui kahkashan ek main

mujh ko farigh dinon ki amanat samajh

bhuli-bisri hui dastan ek main

raunaqen shor mele jhamele tere

apni tanhai ka raaz-dan ek main

ek main apni hi zindagi ka bharam

apni hi maut par nauha-KHwan ek main

us taraf sang-bari har ek baam se

is taraf aainon ki dukan ek main

wo nahin hai to 'mohsin' ye mat sochna

ab bhaTakta phirunga kahan ek main

(2532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare Lahje Tere Be-zaman Ek Main In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Sare Lahje Tere Be-zaman Ek Main is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Sare Lahje Tere Be-zaman Ek Main for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Sare Lahje Tere Be-zaman Ek Main in PDF.