UjDe Hue Logon Se Gurezan Na Hua Kar

ujDe hue logon se gurezan na hua kar

haalat ki qabron ke ye katbe bhi paDha kar

kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai

KHwabida parindon ko daraKHton se uDa kar

us shaKHs ke tum se bhi marasim hain to honge

wo jhuT na bolega mere samne aa kar

har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de

tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar

wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khaDa hai

DhunDa tha jise waqt ki diwar gira kar

ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai

tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar

is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin'

dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar

(6690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UjDe Hue Logon Se Gurezan Na Hua Kar In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. UjDe Hue Logon Se Gurezan Na Hua Kar is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem UjDe Hue Logon Se Gurezan Na Hua Kar for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download UjDe Hue Logon Se Gurezan Na Hua Kar in PDF.