Ye Kah Gae Hain Musafir LuTe Gharon Wale

ye kah gae hain musafir luTe gharon wale

Daren hawa se parinde khule paron wale

ye mere dil ki hawas dasht-e-be-karan jaisi

wo teri aankh ke tewar samundaron wale

hawa ke hath mein kase hain zard patton ke

kahan gae wo saKHi sabz chadaron wale

kahan milenge wo agle dinon ke shahzade

pahan ke tan pe libaade gadagaron wale

pahaDiyon mein ghire ye bujhe bujhe raste

kabhi idhar se guzarte the lashkaron wale

unhi pe ho kabhi nazil azab aag ajal

wahi nagar kabhi Thahren payambaron wale

tere supurd karun aaine muqaddar ke

idhar to aa mere KHush-rang pattharon wale

kisi ko dekh ke chup chup se kyun hue 'mohsin'

kahan gae wo irade suKHan-waron wale

(2677) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kah Gae Hain Musafir LuTe Gharon Wale In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Ye Kah Gae Hain Musafir LuTe Gharon Wale is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Ye Kah Gae Hain Musafir LuTe Gharon Wale for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Ye Kah Gae Hain Musafir LuTe Gharon Wale in PDF.