ZaKHm Ke Phul Se Taskin Talab Karti Hai

zaKHm ke phul se taskin talab karti hai

baz auqat meri ruh ghazab karti hai

jo teri zulf se utre hon mere aangan mein

chandni aise andheron ka adab karti hai

apne insaf ki zanjir na dekho ki yahan

muflisi zehan ki fariyaad bhi kab karti hai

sehn-e-gulshan mein hawaon ki sada ghaur se sun

har kali matam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai

sirf din Dhalne pe mauquf nahin hai 'mohsin'

zindagi zulf ke sae mein bhi shab karti hai

(3255) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Ke Phul Se Taskin Talab Karti Hai In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. ZaKHm Ke Phul Se Taskin Talab Karti Hai is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem ZaKHm Ke Phul Se Taskin Talab Karti Hai for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download ZaKHm Ke Phul Se Taskin Talab Karti Hai in PDF.