Zikr-e-shab-e-firaq Se Wahshat Use Bhi Thi

zikr-e-shab-e-firaq se wahshat use bhi thi

meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki did ka

rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi

is raat der tak wo raha mahw-e-guftugu

masruf main bhi kam tha faraghat use bhi thi

mujh se bichhaD ke shahr mein ghul-mil gaya wo shaKHs

haalanki shahr-bhar se adawat use bhi thi

wo mujh se baDh ke zabt ka aadi tha ji gaya

warna har ek sans qayamat use bhi thi

sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan

shayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi

tanha hua safar mein to mujh pe khula ye bhed

sae se pyar dhup se nafrat use bhi thi

'mohsin' main us se kah na saka yun bhi haal dil

darpesh ek taza musibat use bhi thi

(5226) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zikr-e-shab-e-firaq Se Wahshat Use Bhi Thi In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Zikr-e-shab-e-firaq Se Wahshat Use Bhi Thi is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Zikr-e-shab-e-firaq Se Wahshat Use Bhi Thi for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Zikr-e-shab-e-firaq Se Wahshat Use Bhi Thi in PDF.