Aaj Tanhai Ne ThoDa Sa Dilasa Jo Diya

aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya

kitne ruThe hue sathi mujhe yaad aae hain

mausam-e-wasl ki kirnon ka wo amboh rawan

jis ke hamrah kisi zohra-jabin ki Doli

aise utri thi ki jaise koi aayat utre

hijr ki sham ke bikhre hue kajal ki lakir

jis ne aankhon ke gulabon pe shafaq chhiDki thi

jaise KHushbu kisi jangal mein barahna Thahre

KHilqat-e-shahr ki jaanib se malamat ka azab

jis ne akasr mujhe hone ka yaqin baKHsha tha

dast-e-adaen wo khinchti hui tohmat ki kaman

barish-e-sang mein khulti hui tiron ki dukan

mehrban dost rifaqat ka bharam rakhte hue

ajnabi log dil-o-jaan mein qadam rakhte hue

aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya

kitne ruThe hue sathi mujhe yaad aae hain

ab na pindar-e-wafa hai na mohabbat ki jaza

dast-e-ada ki kashish hai na rafiqon ki saza

taKHta-e-dar na mansab na adalat ki KHalish

ab to ek chiKH si honTon mein dabi rahti hai

ras aaega kise dasht-e-bala mere baad

kaun mangega ujaDne ki dua mere baad

aaj tanhai ne thoDa sa dilasa jo diya

(3759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Tanhai Ne ThoDa Sa Dilasa Jo Diya In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Aaj Tanhai Ne ThoDa Sa Dilasa Jo Diya is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Aaj Tanhai Ne ThoDa Sa Dilasa Jo Diya for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Aaj Tanhai Ne ThoDa Sa Dilasa Jo Diya in PDF.