Bahut Dinon Baad

bahut dinon baad

tere KHat ke udas lafzon ne

teri chahat ke zaiqon ki tamam KHushbu

meri ragon mein unDel di hai

bahut dinon baad

teri baaten

teri mulaqat ki dhanak se dahakti raaten

ujaD aankhon ke pyas patal ki tahon mein

visal-wadon ki chand chingariyon ko sanson ki aanch de kar

sharir shoalon ki sar-kashi ke tamam tewar

sikha gai hain

tere mahakte mahin lafzon ki aabshaaren

bahut dinon baad phir se

mujh ko rula gai hain

bahut dinon baad

main ne socha to yaad aaya

ki mere andar ki rakh ke Dher par abhi tak

tere zamane likhe hue hain

sabhi fasane likhe hue hain

bahut dinon baad

main ne socha to yaad aaya

ki teri yaadon ki kirchiyan

mujh se kho gai hain

tere badan ki tamam KHushbu

bikhar gai hai

tere zamane ki chahatin

sab nishaniyan

sab shararten

sab hikayaten sab shikayaten jo kabhi hunar mein

KHayal thin KHwab ho gai hain

bahut dinon baad

main ne socha to yaad aaya

ki main bhi kitna badal gaya hun

bichhaD ke tujh se

kai lakiron mein Dhal gaya hun

main apne cigarette ke be-irada dhuen ki surat

hawa mein tahlil ho gaya hun

na DhunDh meri wafa ke naqsh-e-qadam ke reze

ki main to teri talash ke be-kanar sahra mein

wahm ke be-aman bagulon ke war sah kar

udas rah kar

na-jaane kis rah mein kho gaya hun

bichhaD ke tujh se teri tarah kya bataun main bhi

na jaane kis kis ka ho gaya hun

bahut dinon baad

main ne socha to yaad aaya

(3059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Dinon Baad In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Bahut Dinon Baad is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Bahut Dinon Baad for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Bahut Dinon Baad in PDF.