Mera Hona Na Hona

mera hona na hona munhasir hai

ek nuqte par

wo ek nuqta

jo do harfon ko aapas mein mila kar

lafz ki tashkil karta hai

wo ek nuqta simaT jae to

hone ka har ek imkan

na hone tak ka sara fasla

pal-bhar mein tai kar le

wahi nuqta bikhar jae

to har ek shai

na hone ke qafas ki tiliyon ko toD kar rakh de

wo ek nuqta meri aankhon mein akasr

raushni ke sath rangon ko ugata hai

mere idrak mein shabnam ki surat

ya sitare ki tarah lauh-e-yaqin par jagmagata hai

wahi nuqta mujhe tashkik ke jangal mein

jugnu ban ke manzil ki taraf rasta dikhata hai

mujhe akasr batata hai

mera hona na hone ka amal se

mere hone ki bhi takmil hoti hai

wo ek nuqta kahan hai

kaun hai

kis ke labon mein chhup ke har isbaat ko

inkar mein tabdil karta hai

jo do harfon ko aapas mein mila kar lafz ki tashkil karta hai

ye nukta bhi isi nuqte mein muzmar hai

wo ek nuqta ki ab tak jis ke hone ka amin hun main

wo ifsha ho to main samjhun

ki hun bhi ya nahin hun main

(2742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Hona Na Hona In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Mera Hona Na Hona is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Mera Hona Na Hona for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Mera Hona Na Hona in PDF.