Mere Kamre Mein Utar Aai KHamoshi Phir Se

mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se

saya-e-sham-e-ghariban ki tarah

shorish-e-dida-e-giryan ki tarah

mausam-e-kunj-e-bayaban ki tarah

kitna be-nutq hai yaadon ka hujum

jaise honTon ki faza yaKH-basta

jaise lafzon ko gahan lag jae

jaise ruThe hue raston ke musafir chup-chap

jaise marqad ke sirhane koi KHamosh charagh

jaise sunsan se maqtal ki salib

jaise kajlai hui shab ka nasib

mere kamre mein utar aai KHamoshi phir se

phir se zaKHmon ki qataren jagin

awwal-e-sham-e-charaghan ki tarah

har nae zaKHm ne phir yaad dilaya mujh ko

isi kamre mein kabhi

mahfil-e-ahbab ke sath

gungunate hue lamhon ke shajar phailte the

raqs karte hue jazbon ke dahakte lamhe

qarya-e-jaan mein lahu ki surat

sham-e-wada ki tarah jalte the

sans leti thi faza mein KHushbu

aankh mein gulban-e-marjaan ki tarah

sans ke sath guhar Dhalte the

aaj kya kahiye ki aisa kyun hai

sham chup-chap

faza yaKH-basta

dil mera dil ki samundar ki tarah zinda tha

tere hote hue tanha kyun hai

to ki KHud chashma-e-awaz bhi hai

meri mahram meri hamraaz bhi hai

tere hote hue har samt udasi kaisi

sham chup-chap

faza yaKH-basta

dil ke hamrah badan TuT raha ho jaise

ruh se rishta-e-jaan chhuT raha ho jaise

ai ki tu chashma-e-awaz bhi hai

hasil-e-naghmagi-e-saz bhi hai

lab-kusha ho ki sar-e-sham-e-figar

is se pahle ki shikasta-dil mein

bad-gumani ki koi tez kiran chubh jae

is se pahle ki charagh-e-wada

yak-ba-yak bujh jae

lab-kusha ho ki faza mein phir se

jalte lafzon ke dahakte jugnu

tair jaen to sukut-e-shab-e-uryan TuTe

phir koi band-e-gareban TuTe

lab-kusha ho ki meri nas nas mein

zahr bhar de na kahin

waqt ki zaKHm-faroshi phir se

lab-kusha ho ki mujhe Das legi

KHud-faramoshi phir se

mere kamre mein utar aai

KHamoshi phir se

(2697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Kamre Mein Utar Aai KHamoshi Phir Se In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Mere Kamre Mein Utar Aai KHamoshi Phir Se is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Mere Kamre Mein Utar Aai KHamoshi Phir Se for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Mere Kamre Mein Utar Aai KHamoshi Phir Se in PDF.