Us Samt Na Jaana Jaan Meri

us samt na jaana jaan meri

us samt ki sari raushaniyan

aankhon ko bujha kar jalti hain

us samt ki ujli miTTi mein

nagin aashaen palti hain

us samt ki subhen sham talak

honTon se zahr ugalti hain

us samt na jaana jaan meri

us samt ke aangan maqtal hain

us samt dahakti galiyon mein

zahrili bas ka jadu hai

us samt mahakti kaliyon mein

kafur ki qatil KHushbu hai

us samt ki har dahliz tale

shamshan hai jalte jismon ka

us samt faza par saya hai

be-mani mubham ismon ka

us samt na jaana jaan meri

us samt ki sari phul-jhaDiyan

barud ki tal mein Dhalti hain

us samt ke patthar raston mein

munh-zor hawaen chalti hain

us samt ki sari raushaniyan

aankhon ko bujha kar jalti hain

us samt ke wahmon mein ghar kar

kho baiThogi pahchan meri

us samt na jaana jaan meri

(2318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Samt Na Jaana Jaan Meri In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Us Samt Na Jaana Jaan Meri is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Us Samt Na Jaana Jaan Meri for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Us Samt Na Jaana Jaan Meri in PDF.