Wo ShaKH-e-mahtab KaT Chuki Hai

bahut dinon se

wo shaKH-e-mahtab kaT chuki hai

ki jis pe tum ne giraft-e-wada ki reshmi shaal ke sitare saja diye the

bahut dinon se

wo gard-e-ehsas chhaT chuki hai

ki jis ke zarron pe tum ne

palkon ki jhaalron ke tamam nilam luTa diye the

aur ab to yun hai ki jaise

lab-basta hijraton ka har ek lamha

tawil sadiyon ko oDh kar sans le raha hai

aur ab to yun hai ki jaise tum ne

pahaD raaton ko

meri andhi ujaD aankhon mein

reza reza basa diya hai

ki jaise main ne

figar-dil ka hunar-asasa

kahin chhupa kar bhula diya hai

aur ab to yun hai ki

apni aankhon pe hath rakh kar

mere badan par saje hue aablon se bahta lahu na dekho

mujhe kabhi surKH-ru na dekho

na meri yaadon ke jalte-bujhte nishan kuredo

na mere maqtal ki KHak dekho

aur ab to yun hai ki

apni aankhon ke KHwab

apne darida-daman ke chaak dekho

ki gard-e-ehsas chhaT chuki hai

ki shaKH-e-mahtab kaT chuki hai

(3295) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo ShaKH-e-mahtab KaT Chuki Hai In English By Famous Poet Mohsin Naqvi. Wo ShaKH-e-mahtab KaT Chuki Hai is written by Mohsin Naqvi. Read famous Poem Wo ShaKH-e-mahtab KaT Chuki Hai for youth and Student by Mohsin Naqvi. Free Download Wo ShaKH-e-mahtab KaT Chuki Hai in PDF.