Diwar Ab Kahin Na Koi Dar Dikhai De

diwar ab kahin na koi dar dikhai de

chaaron taraf bas ek samundar dikhai de

ghar par nazar karun to bayaban sa lage

aur dasht-e-be-kanar mujhe ghar dikhai de

KHwabon ke darmiyan hai muddat se ek jang

maidan-e-kar-zar na lashkar dikhai de

ye kya ki phir bhi jism hai apna lahu-luhan

aata hua kahin se na patthar dikhai de

har sham zindagi ka naya KHwab le ke aae

har subh apni maut ka manzar dikhai de

is tarah paDh rahe hain wo tahrir hath ki

hathon mein jaise mera muqaddar dikhai de

tir o kaman aap bhi 'mohsin' sambhaaliye

jab dosti ki aaD mein KHanjar dikhai de

(502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwar Ab Kahin Na Koi Dar Dikhai De In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Diwar Ab Kahin Na Koi Dar Dikhai De is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Diwar Ab Kahin Na Koi Dar Dikhai De for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Diwar Ab Kahin Na Koi Dar Dikhai De in PDF.