Hamein To KHair Koi Dusra Achchha Nahin Lagta

hamein to KHair koi dusra achchha nahin lagta

unhen KHud bhi koi apne siwa achchha nahin lagta

nahin gar naghma-e-shadi nafir-e-gham sahi koi

ki saz-e-zindagani be-sada achchha nahin lagta

hamein ye band kamron ka makan kuchh bha gaya itna

ki hum ko ab koi aangan khula achchha nahin lagta

kuchh itni talKH us din ho gai thi guftugu un se

kai din se zaban ka zaiqa achchha nahin lagta

kabhi nazdik aa kar ru-ba-ru bhi hon mulaqaten

ki ham-sayon mein itna fasla achchha nahin lagta

kaThin raston pe chalna apni uftad-e-tabiat hai

hamein aasan koi rasta achchha nahin lagta

ise hum marsiya-goyon pe 'mohsin' chhoD dete hain

likhen hum aap apna marsiya achchha nahin lagta

(1284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein To KHair Koi Dusra Achchha Nahin Lagta In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Hamein To KHair Koi Dusra Achchha Nahin Lagta is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Hamein To KHair Koi Dusra Achchha Nahin Lagta for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Hamein To KHair Koi Dusra Achchha Nahin Lagta in PDF.