Har Roz Naya Hashr Sar-e-rahguzar Tha

har roz naya hashr sar-e-rahguzar tha

ab tak ka safar ek qayamat ka safar tha

andaza-e-haalat tha pahle hi se mujh ko

darpesh jo ab hai wo mere pesh-e-nazar tha

sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba

aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha

tai hum ne kiya sara safar yak-o-tanha

juz gard-e-safar koi na hamrah-e-safar tha

sad haif kai log gae jaan se mere sath

qatil ko to matlub faqat mera hi sar tha

meri hi tarah jaan se guzar kar chale aate

kuchh is se ziyaada to na raste mein KHatar tha

rahta tha kabhi meri nigahon mein shab-o-roz

ek waqt tha jab wo mera mahbub-e-nazar tha

kya wo koi jhonka tha nasim-e-sahari ka

ya rahguzar-e-KHwab pe KHushbu ka safar tha

hum ja ke kahan baadiya-paima hue 'mohsin'

jis dasht mein sabza na kahin koi shajar tha

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Roz Naya Hashr Sar-e-rahguzar Tha In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Har Roz Naya Hashr Sar-e-rahguzar Tha is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Har Roz Naya Hashr Sar-e-rahguzar Tha for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Har Roz Naya Hashr Sar-e-rahguzar Tha in PDF.