Jaana Hai Usi Samt Ki Chaara Nahin Koi

jaana hai usi samt ki chaara nahin koi

jis samt ko rasta bhi nikalta nahin koi

bas dil ka hai sauda koi bazi nahin sar ki

thoDa sa hai nuqsan ziyaada nahin koi

manjdhaar mein kashti ka badalna nahin manzur

aisi mujhe sahil ki tamanna nahin koi

har shaKHs yahan gumbad-e-be-dar ki tarah hai

aawaz pe aawaz do sunta nahin koi

hum sina-sipar aa gae maidan-e-wigha mein

ab kyun saf-e-ada se nikalta nahin koi

mana ki bura hai jo kam-amez hun itna

ye tera taghaful bhi to achchha nahin koi

wo shobada-gar hi na raha khel hua KHatm

hone ko bas ab aur tamasha nahin koi

ek naqd-e-hunar hai ki nahin jis ki koi qadr

pas is ke siwa aur asasa nahin koi

pamali-e-gulshan ki ye taswir hai 'mohsin'

shadabi-e-gulshan ka ye naqsha nahin koi

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaana Hai Usi Samt Ki Chaara Nahin Koi In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Jaana Hai Usi Samt Ki Chaara Nahin Koi is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Jaana Hai Usi Samt Ki Chaara Nahin Koi for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Jaana Hai Usi Samt Ki Chaara Nahin Koi in PDF.