Jitna Tahzib-e-badan Se Main Sanwarta Jaun

jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun

utna hi TuT ke andar se bikharta jaun

zindagi jaise calendar pe badalti tariKH

main shab-o-roz ke manind guzarta jaun

kya pata KHwabon ki tabir mile ya na mile

kisi kaghaz pe unhen note hi karta jaun

sehn-e-gulshan se wo ek aaKHiri rishta bhi gaya

KHushk patton ki tarah ab to bikharta jaun

tah-e-zulmat in aaankhon ke diye jalte jaen

zina zina main ujalon mein utarta jaun

gard-e-daman ki tarah mujh ko uDane wale

aks ban kar teri aaankhon mein Thaharta jaun

kitne ghabrae hue hain mere qatil 'mohsin'

aastinon pe lahu ban ke ubharta jaun

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jitna Tahzib-e-badan Se Main Sanwarta Jaun In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Jitna Tahzib-e-badan Se Main Sanwarta Jaun is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Jitna Tahzib-e-badan Se Main Sanwarta Jaun for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Jitna Tahzib-e-badan Se Main Sanwarta Jaun in PDF.