Manzil-o-samt-e-safar Se Be-KHabar Na-ashna

manzil-o-samt-e-safar se be-KHabar na-ashna

ham-safar mujh ko mila kaisa safar na-ashna

sare hi chehre sabhi diwar-o-dar na-ashna

lag raha hai mujh ko sara hi nagar na-ashna

shama ek na-mahram-e-asrar-e-shab hangam-e-sham

ek sitara aaKHir-e-shab aur sahar na-ashna

mauj-e-tez-o-tund se aThkheliyan karti hui

apne barg-o-bar se shaKH-e-shajar na-ashna

ye to duniya hai badalti rahti hai us ki nazar

jis qadar ye aashna hai us qadar na-ashna

us nigah-e-naz ko apni taraf samjha kiye

munkashif phir ye hua hum the nazar na-ashna

kya jhukega ab kisi ke dar pe 'mohsin' apna sar

zindagi bhar to raha sajde se sar na-ashna

(593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil-o-samt-e-safar Se Be-KHabar Na-ashna In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Manzil-o-samt-e-safar Se Be-KHabar Na-ashna is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Manzil-o-samt-e-safar Se Be-KHabar Na-ashna for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Manzil-o-samt-e-safar Se Be-KHabar Na-ashna in PDF.